Nofollow and Dofollow Links Kya Hai in SEO
Jab hum baat SEO (Search Engine Optimization) ki karte hai to Dofollow and Nofollow link bahut important role rakhte hai. man lijiye aap ek naye blogger hai aur apni ek nayi website banayi hai to search engine (Google,Bing, Yahoo )ko kaise pata chalega ki aapki koi website hai.Iske liye Aapko apni website ka Search Engine Submission karna hoga tab Google aapki website ko Index karega apne search Engine me.
Dofollow aur Nofollow Links Kya Hai
Dofollow and Nofollow ke baare me jaanne se pahle hame link Juice ke baare me jaanna chahiye.
Link
Juice – Jab
aap kisi website ko dusri website par submit karte ho jisse Google link ko
follow karta hai tab use link Juice kaha jaata hai. Kisi website ki
ranking me link juice ka important role hota hai aur isse domain authority bhi
improve hoti hai.
Dofollow Link
– Jab
hum Google ya dusre search engine ko link follow karne ke liye allow karte hai
to hume link
Juice aur Backlink milta
hai. example ke liye –
<a https://rohitmishra07.blogspot.com/2020/12/how-to-determine-value-of-link.html”>
How To
Determine Value of A Link?</a>
Nofollow Link
– Nofollow
link ka matlab Dofollow link ke opposite hai. Nofollow link Google ya kisi bhi
search engine ko Link follow karne ka permission nahi dete kewal user is link
par click kar aapke website par pahuch jayega. Nofollow link se ranking improve
nahi hoti hai example ke liye-
<a https://rohitmishra07.blogspot.com/2020/12/how-to-determine-value-of-link.html”
rel=”nofollow”>
How To
Determine Value of A Link?</a>
Dofollow link ke
liye koi code likhne ke jaroorat nahi hoti by default sabhi hyperlink Dofollow hote
hai. lekin Nofollow link ke liye rel=”nofollow” add
karna hota hai.
Dofollow Link –
§ Jab kisi high
authority website ko apne article me link kar rahe hai.
§ Jab apne blog se
related other website me URL submit kare to khoshish kare ki waha
se Dofollow
link mile.
NOfollow Link –
§ Jab kisi low
quality website or jin websites par bharosha nahi hai jaise coupan sites,casino
etc.
§ Affiliate links
ko
§ Comment Section
ke sabhi links ko kyonki yaha par koi bhi apni website ka link submit kar sakta
hai aur yaha spamming ke chances sabse jyda hote hai.
Nofollow Aur Dofollow Links Ko Kaise Check Kare
Jis link ko check karna hai use Brower me open kar le ab right click और “Inspect Element” select kare. ab ek widow open ho jayegi jisme html ki coding likhi hogi.Is HTML coding me dekh sakte hai ki Link Dofollow hai ya NOfollow.
neech screen shot me dikhaya gaya hai.
Yadi aapko yeh post achcha laga hai to
hume comment kar bata sakte hai aur isse social media me bhi share kare.
No comments: